//
Uttarakhand, yaani ke vo jagah jo bhakti ka saar hai, devtaon ki bhumi hai aur swayan Devtaon ka ghar hai. Iss sundar, shant, aur pavitr jagah ko "Devbhoomi '' kehte hain, jismein kayi prasiddh aur chhote-chhote ancient temple hain. Ye mandir na keval religious or cultural point of view se balki historical aur archaeological point of view se bhi important hain. Yeh saari khoobiyan in mandiro ko sirf Uttarakhand me hi nahi balki puri duniya bhar mein prasiddh karti hai.
Thandak se bhara hua Chandranath Parvat mein sthit Tungnath mandir, Uttarakhand ke aur Shiva mandiron mein sabse uncha mandir hai, sath hi duniya ke sabse unche "Panch Kedar mandir" mein se ek bhi hai.
Panch Kedar mandiron mein Tungnath teesra hai. Is historical temple ki unchai 3680 meter hai aur yeh 1000 varsh ya usse adhik purana hai.
Darshan karne ka samay: 6:00 am- 7:00 pm
Address: Rudraprayag, Uttarakhand 246419
Yeh mandir Champawat shehar ke andar sthit hai, jise Baleshwar ke naam se jana jata hai. Yeh ancient temple Chand Dynasty ki living memory hai, jo ki patthar ki carving se bana hua ek mandir ka pratik ban gaya hai.
Likhit records nahi hai jo mandir ka nirmaan ka sahi samay aur century bataye, lekin vishwaas hai ki mandir kahin 10-12 century A.D. ke beech bana hua hoga.
Darshan karne ka samay: 9 AM se 11.30 AM aur 5 PM se 8.30 PM.
Address: NH 125, Lohaghat Range, Champawat, Uttarakhand 262523
9th century ke chamatkar ke naam se jaana hua Uttarakhand ka Katarmal Surya mandir ek Katyuri Raja ne banwaya tha. Yeh prasiddh mandir aapko us samay ki art ka ek alag hi pradarshan karata hai.
2116 meter ki unchai par situated ye mandir ek purane kal ke architecture ka ek roop hai, aur is mandir mein bhi, aise design ko lakdi ke panel aur darwazon par gahraayi se tarasha gaya hai.
Konark Surya mandir ke baad, yeh dusra sabse khoobsurat mandir mana jata hai.
Darshan karne ka samay: 6 am-12 pm aur 3 am-7 pm
Address: Adheli Sunar, Uttarakhand 263643
Uttarakhand ke Lakhamandal mandir Chakrata district mein hai. Devbhoomi ke doosre mandiron ki tarah, is mandir mein bhi kai anya chhote Shiva mandiron ke avashesh hain.
Is mandir mein pooje jaane wale Shivling ko graphite se banaya gaya hai. Jab bhakton dvara is par jal chadhaya jata hai, to yeh chamak uthta hai.
Darshan karne ka samay: 5 am – 9 pm
Address: Lakha Mandal, Uttarakhand 248124
Aapko hairani hogi ki Adi Badri mandir Uttarakhand ke prasiddh Panch Badri ka hissa hai. Agar aap apne dharmik chhuttiyon ka yojana bana rahe hain to aapko Adi Badri mandir zaroor dekhna chahiye.
Badrinath ko jaane se pehle, Satya, Treta, aur Dwapar Yugon mein Lord Vishnu Adi Badri mein rahte the. Adi Guru Shankaracharya ne in mandiron ko banaya hai.
Mool mandir Narayan ka hai, jo Lord Vishnu ka ek kaala patthar ka pratima hai.
Darshan karne ka samay: 6 AM se 7 PM
Address: Karnprayag se 18 km door, Ranikhet road par
Anusuya Devi Mandir goddess Sati ko samarpit hai aur yeh Chamoli, Uttarakhand ke sabse popular mandiron mein se ek hai. Himalaya mein sthit yeh mandir bhakto ke beech ka mukhya akarshan hai.
Mandir ko yatra karne ka sabse achaa samay December mahina hai jab Duttatreya Jayanti ko shaandaar taur par celebrate kiya jata hai.
Is samay aapko bhajan gaate aur diye jalaate hue bhakt saikron ki sankhya mein dekhne ko milenge.
Darshan karne ka samay: Subah, Dopahar, aur Shaam
Address: Gopeshwar, Chopta se 30 km door
Yeh ancient temple sach mein ek bahut acchi tourist jagah hai, kyun ki mandir se aapko Uttarakhand ke famous peaks jaise Trishul, Nanda Devi, Panchachuli aur kai aur sundar peaks ka shaandaar drishya milta hai.
Yeh mandir 8th se 12th century mein sthapit kiya gaya hai, aur 2260 meter se adhik unchai par hai, jo ise Uttarakhand ke yatra karne wale logon ke liye ek mahan akarshan banata hai.
Darshan karne ka samay: Subah, Dopahar, aur Shaam
Address: Gwaldam township se 8 km door
Bageshwar woh pavitr sthal hai jahan anek mandir sthit hain, jaise ki Chandika mandir jo Lord Shiva ko samarpit hai, Srihari Mandir, Gauri Udiyar jahan Lord Shiva ki ek gufa bani hui hai.
Tyoharon ke samay, yeh saare mandir bahut adhik sankhaya me bhakt aate hain, jo yatra karte hain aur bhakti bhav se khush hote hain.
Yahan Hurka, Baul, Chholiya, aur Jhumaila jaise lok nritya bhi aayojit hote hain, jo aankhon ko bhaa jaate hain.
Darshan karne ka samay: Bhakt din mein mandir dekh sakte hain
Address: Kumaon
Jab baat aati hai history, architecture aur sanskriti ki, tab aap Uttarakhand me sabse acche historical temple payenge jo aapko har baar unke yaha aane par shaanti ka anubhav karayenge. Uttarakhand mandiron ki bhoomi ke roop mein mashhoor hai aur agar aap dharmik hain ya Uttarakhand me ghumne aane ka soch rahe hain toh aapko in mandiron me zaroor jaana chahiye. Na kewal in mandiron me jaana na kewal aapko fascinate karega balki sukh aur shaanti bhi dega.
Copyright © 2024 All Rights Reserved